Tu Hai Kahan Lyrics – AUR | ZAYN

Tu Hai Kahan Lyrics : This song sung by AUR, ZAYN & Usama Ali, a new Hindi song accompanied by a music video featuring AUR & ZAYN. Lyrics of this song are penned down by AUR and music for this track was produced by Raffey Anwar.

Tu Hai Kahan Lyrics - AUR | ZAYN

Tu Hai Kahan Song Details
Singers : AUR, ZAYN, Usama Ali
Lyrics : AUR, Raffey Anwar, Usama Ali
Music : Raffey Anwar
Label : Sony Music Entertainment

Tu Hai Kahan Lyrics

Ki jab main hadd se aage badh gaya tha aashiqui mein
Yaani zindagi ko le raha mazaak hi mein

Phir mazak hi mein mil gaya sab khaak hi mein
Chhu kar aaya manzilein toh tanha tha main wapsi mein

Jaise phool tode honge tumne jholi bhar ke
Main woh phool jo ke reh gaya tha shakh hi mein

Jaise khwaab hi main khwabgah ankh hi mein
Pal se pal mein kya hua tum reh gaye bas yaad hi mein

Ek sawaal machalta hai mere dil mein kabhi
Tujhe main bhool jaaun ya tujhe main yaad karun

Tujhi ko soch ke likhta hoon jo bhi likhta hoon
Ab likh raha hoon toh phir kyun na ek sawaal karun

Main iss sawaal se gham ko badal doon khushiyon mein
Par in be-jaan si khushiyon se kya kamaal karun

Par ab sawaal bhi kamaal tu sambhal le filhaal
Yeh sawaal bicha jaal kya main chaal chalun

Chaal chal tu apni main tujhe pehchan lunga
Main apni mehfilon mein sirf tera hi naam lunga

Tujhe pasand hai dheema lehja aur bas khamoshiyan
Main tere khaatir apni khud ki saansein tham lunga

Kya tere saare aansu mere ho sakte hain
Aisa hai toh tere khatir hum bhi ro sakte hain

Mere khatir mere rone par ab tum bas hans dena
Ek bar tere muskurahat ke peechhe hum sab kuchh kho skate hain

Kya meri mohabbaton ka koyi hisaab nahi hai
Kyun tere aankhon mein mere liye koyi khwaab nahi hai

Tujhe kya hi karun ghamzada ab jaane de
Ke tere paas mere pyar ka jawaab nahi hai

Kitni muddatein hui hai tumne khat kyu nahi bheja
Gaa leta hun tere liye mausiqi nahi hai pesha

Aane ki khabar hi nahi tere ab
Ab kya mausamon se puchhun
Tere aane la andesha

Aankhon mein aansu nahi hai
Kahaan hai tu kahaan tu nahi hai
Dil ko yeh ab jaan’na hi nahi
Bas tu chale aao

Tu hai kahan
Khwabon ke iss shehar mein
Mera dil tujhe dhoondhta
Dhundhta arsa hua

Tujhko dekha nahi
Tu na jaane kahan chhup gaya
Chup gaya

Aao phir se hum chale
Thaam lo yeh hath
Kar do kamm yeh faasle

Na pata ho manzilon ka
Na ho raste
Tu ho main hoon baithe dono
Phir hum taaron ke tale

Na subah ho phir
Na hi din dhale
Kuchh na keh sake
Kuchh na sunn sake

Baatein saari woh
Dil mein hi rahe
Tum ko kya pata hai
Kya ho tum mere liye

Kehkashan ho tum
Kahaniyon ki pariyon ki
Tarah ho tum

Mujhmein aa sake na koyi
Iss tarah ho tum
Ho yakeen tum mera
Ya phir ghumaan ho tum

Aashiyan ho tum
Main bhatka sa musafir
Aur makaan ho tum

Meri manzilon ka
Ek hi raasta ho tum
Dhundhta hai dil tujhe
Bata kahan ho tum hmm..

Ho jahaan kahin bhi
Aao paas taaki
Aansu mere tham sake

Yaad aa rahe ho tum
Mujhe ab har lamhein
Aisi zindagi ka kya
Jo tum zindagi mein hoke
Meri zindagi na ban sake

Sochta rahun ya
Bhool jaaun ab tumhein
Tum mil hi na sakogi toh
Fir kaise chahu ab tumhein

Tere saare khwaab
Pal mein jod denge
Jisme tu hi na basega
Phir woh dil hi tod denge

Chhod denge woh shehar
Ke jisme tum na hoge
Tut jayenge makaan
Woh saare hasraton ke

Guzre pal jo saath tere
Woh pal hai bas sukoon ke
Mil lo ab tum iss tarah
Ke phir nahi miloge

Tu hi tha saath mein mere
Kaise main jeeyuga akele
Taare ginn ginn ke
Ho gayi hai subah

Tu hai kahan
Khwaabon ke iss shehar mein
Mera dil tujhe dhoondhta
Dhundhta

Arsa huya tujhko dekha nahi
Tu na jaane kahan chhup gaya
Chhup gaya

Tu Hai Kahan (Music Video)